Kis mitti se?

myDev

Kis mitti se?

Kis mitti se bane ho Dev, ki ek hi pal mein saare faslo ko chhod aa gaye humara aasu ban kar pyaar jatane.

Kis mitti se bane ho Dev, jo Aapne humare kalyaan ka beda etne prem, vatsalya aur dradta se uthaya.

Kis mitti se bane ho Dev, jo hum jaise adham aadham ko bhi panah deene ki mamta Aap mein sahaj jaagi.

Kis mitti se bane ho Dev, jo humari badi se badi galati bhi Aap sveekaar kar humari chhoti se chhoti jeet par Aap itne khush hote hain. Hume nahi samaj aata hain yeh Dev.

Kis mitti se bane ho Dev, kiss dhatuo se Aap jude ho Dev ke hume aapke smaran matra se zabardast Prem shakti prapt ho jaati hain.

Kis mitti se bane ho Dev, jo ek drashti se Aap humare kalyaan ki parampara saja dete ho.

Kis mitti se bane ho Dev, jis mein milkar humari kayakalp ho aur humara bhavo bhav ka naash ho raha hain.

Hume samjaeye na Dev, ke aap kiss mitti se bane ho, sirf ek smith se laakho bhavo ke shanti pradhaan kar dete hain Aap.

Kis mitti se bane ho Dev, jo humare kalyaan kaj Aap satat nayi nayi sundar yogana, sadhana aur seva dete ho. Aap humara kalyaan har halat mein chahte ho.

Kis mitti se bane ho Dev, ke
har ek sevak ko Aap apne lagte ho,
har ek bhakt ko Aap unke lagte ho,
har ek jeev ko Aap acche lagte ho,
har ek sadhak ko Aap alipt hi lagte ho.

Kya raaz hain yeh ?

Kis mitti se bane ho Dev, jo humare har vikalp ka sujao hain aapki vaani mein, aur humare har sankalp ki shuruat hain Aapki drashti mein.

Kis mitti se bane ho Dev, kyuki ab woh mitti nahi mil rahi hai, bahut khoj ne par bhi. Abh woh sirf Aap ke ashirvaad aur gurugam ki gulam hain.

Kis mitti se bane ho Dev, jo humare har shreya vichar ko Aap disha aur dradta dete ho
Aur har preya vichar ko Aap naash karte dete ho.

Kis mitti se bane ho Dev, jo
har mulakat hume aur gehra le jaata hain Aap ke dil mein,
aur har drashti hume dubo deti hain aap ke prem mein,
aur har yaad ek aur aasu laata hain aapki karuna ke liye.

Kis mitti se bane ho Dev, jo hum raat bhar sote hain sapno mein idhar,
aur Aap raat raat bhar jaagte udhar hume swapno se jagane.

Kis mitti se bane ho Dev, jo itni sahajta se humari har prarthana ka phal ban jaate ho Aap hamesha.

Kis mitti se bane ho Dev, jo Aap sab kuch karte ho aur aaghe karte ho hume aur fir dete ho Aapka Rajipa.

Kis mitti se bane ho Dev,
Jo mere chinta ko Aap ke naam ki samta milte hain,
Jo mere vikalpo ko Aap ke chitrapat se stirtha milti hai,
aur meri vaasano ko Aap ke ashirvaad se chutkara milta hain.
Jo meri vruttio ko Aapke drashti nirmul bana deti hai,
aur mere teevra bhog icchae Aapke yog se bhaag jaate hain.


Vaise main jaanta hu ke Aap ki mitti ka vasta aur Aap ka tana bana juda hain mere Bhagwaan se, mere Krupalu se, mere Nath se, mere Raj se, mere Kalyaan data se, mere Sarvasva se…aur Wohi hain jo hume prem karte hain, humara khyaal rakhte hain, Aap ke zariye.

Ek hi prarthana, ek hi vinanti,
Hume Aap ke Raj mein humesha rahke Dev, humesha. Wohi toh hain hum sab ka mool aadhaar.

Arigato.
Arigato.
Arigato.